Sunday, 21 February 2016

Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top Website Hindi Janiye


Blog ki traffic badhane me achi template (theme) hona bahut jaruri hai. aapke blog ka look jitna acha hoga. utne jada visitors aapke blog par aana pasand karenge. jis tarah aap ache kapde pahnte hai. bilkul wese hi agar aapke blog ki theme achi hoi chahiye. taki jada se jada log use pasand kar sake. ai Blog ki template change karne ka tarika mai pahle hi bta chuka hu. aaj mai aapko blogger blog ke liye template dene wali kuch better websites ke bare me bta raha hu. jaha se aap free me apni pasand ki template download kar sakte ho.

Also Read; Blog Ko Google, Bing, Yaahoo Jaise Search Engines Se Kaise Submit Kare Seo Ke Liye

Blogger Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Websites

1. Gooyaabitemplates

is website ki total template seo ready hai. aapko isme bas meta tag add karna hai. google search engine bahut jald aapke blog ko dikhane lagega. isme aapko slideshow,drop down menu, clean, simple, seo ready, social bookmark ready,white, Ads ready, post thumbnails, responsive, 3 columns footer milenge. maine bhi isi site ki template use ki hai. blog ke liye badhiya template download karne ki sabse achi sitew hai.


2. New blogger themes

Is website par aapko 2015 ki new template milegi. templates ka look bahut acha hai. lagbhag sabhi templates me social share option better hai. aap seo, mobile friendly template dekh kar hi download kare.

3. Spicy tricks

is site par magazine, cars, social sharing, iphone, apps ke liye better template share ki jati hai. aap jis topic par blogging karte ho usi topic se related template is site par mil jayegi. jaise aap cars ke bare me blogging karte ho to aapko is site par cars friendly templates milegi. jo aapki post ko aakarshak tarike se show karegi.

4. Btemplates

agar aapko simple template chahiye to aap is site par jaye. puri site simple template se bhari huyi hai. is site par aapko sabhi template free me mil jayegi. or aap website par ja kar check kar le.

5. Sora templates

ye website hi gooyaabitemplates ki tarah bahut hi achi site hai blog template download karne ke liye. iski sari template mobile responsive or free hai. template alag alag style ki hai. aapko stylish template chahiye to aap is site ko try kare.

6. My blogger themes

Agar aapko temlate ke right side ke sidebar me 1, 2, 3, 4 coulum chahiye. to is site par aapko 4-4 coulum support template mil jayegi. aap meri site ki template me 3 coulum sidebar dekh sakte hai.

7. Theme forest

is site par aapko free template ke sath premium template bhi milegi. aap janta hai ki achi template ko koi bhi free nahi deta. so jo better templates hoti hai. wo paid hoti hai. agar aap template charge dene ki hesyit rakhte hai to aap is site se saste me better templates kharid sakte hai.

8. Fresh design web

is site par aapko blogger ke sath sath wordpress or website ke liye bhi templates mil jayegi. iski templates ka look bilkul website ki tarah hota hai. aap apne blog ko website ki tarah banana chahate hai. magar aapko blogger ki coding nahi aati to aap is site ko try kare.

9. Design scrazed

Jaisa is site ka naam hai wesa hi iska kaam hai. aapko is site par behtarin design wali template milegi. aapko full design wali template ki jarurat hai to aap is site par jaye or apni jarurat ke hisab se template pasand kar ke download kar le.

10. Best blogger templates

is site ki template fast loading hai. is par adhiktar minute responsive yani jaldi open hone wali template share ki jati hai. mai aapko bta du ki achi template ke sath sarh template fast loading bhi honi chahiye. kyuki koi vi visitors slow loading site par jana pasand nahi karta.
Blog ke liye Template download karne ke bad uske sabhi search engine ke meta tag add karna na bhoole. taki search engine aapke blog ki har post ko sahi logo tak pahucha sake. bahut se blogger bar bar template change karte hai. aysa nahi karna chahiye. aap ek bar koi achi template apne blog me add karle. use bar bar change na kare.

0 comments:

Post a Comment

Followers

Powered by Blogger.

Random Post